1
Basti basti khor udasi parvat parvat khali pan,
man hira bemol lut gaya ghis ghisri ka tan chandan,
is dharti se us ambar tak do hi chiz gajab ki hai,
ek to tera bhola pan hai ek mera deewana pan……..
Main uska hoon vo is ahsaas se inkar karta hai,
bhari mahfil me bhi ruswa mujhe har baar karta hai,
yakin hai sari duniya ko khafa hai humse vo lekin,
mujhe maloom hai phir bhi mujhise pyar karta hai……..
Jiski dhoon par dunia naache dil ek aisa taara hai,
jo tumko bhi pyaara hai jo humko bhi pyaara hai,
jhoom rahi hai saari dunia jabki humaare giton par,
tab kahti ho pyar hua hai kya ahsaan tumhara hai……..
Bahut bikhra bahut toota thapde sah nahi paaya,
hawaon ke isharon pas magar mein bah nahi paaya,
adhoora ansuna hi rah gaya ye pyaar ka kissa,
kabhi tum sun nahi paayi kabhi main kah nahi paaya………
2
Zindagi kuch kum,
aarzu har dum,
na thor na thikana,
jaane kis desh hai jana !!!
3
Waqt To Humey Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,
Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kyunke Darte Hai,Koi Phir Se Na Rula De,
Zindagi May Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge..
Aitbaar Zara Soch Kar Karna…
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge, Khushbo Ki Tarah Aapke Paas Bikhar
Jayenge,
Sukon Ban kar Dil Me Utar Jayenge,
Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge….
Duniya ko Dekhtey Rahey jis Nazar se Hum,
Us Aankh Mein Humarey liye
Pehchan Bhi Na Thi..
Yahan Kisi Ko Hasb-e-Arzoo Na Mila ,
Kisi Ko Hum Na Milay Aur ,
Koi Humein Na Mila ..
4
Har chhehr-e-masumiyat me tera chhehra nazar ata hai
Tu har chhehre me sama jaye to koi kya kare.
Tu jo has de to sama has de aur ye jaha has de
gam me tujhe na rona aye to koi kya kare.
Mehek aisi ki itr ka sagar bhi kam pare
ke har phool tujhe hi mehekaye to koi kya kare
Tujhe chand kahu to mehtaab-e-jaha ko kya kahu
Jab tu hi chand ho jaye to koi kya kare
Maroof tu hai ya mai koi faisla hua hi nahi
Tu hi koi faisla kar jaye to koi kya kare
Ajmato me hum tujhe hi yaad kar ke rote hai
Meri palkhe hi nam na ho to koi kya kare
Wo jeher jo tune mujhe diya wo jeher nahi raha
Ki Zindagi hi zeher ho jaye to koi kya kare
Kya kare koi akhir hai nahi kuch bhi bas me uske
Sab kuch tere hi hawale se chale to koi kya kare.